Aj sall ka pehla din tha sab kuch pehlay ki tarah chal raha
tha subah hue hamesha ki tarah bht achay say nashtay say phir office ki routine
life, lag nahe raha tha kuch badla hai haan shayed date badal gaye thi.
Aisa
hi kuch hota tha meray aik aziz dost kay sath,jo usi ki zabani sunata hoon jab us ka crush achanak samnay ajata aur sawaliya nishanoon ki tarah
tuktuki bandh ker ghornay lagta aj abhi aisa he huwa jab achanak
say us nay entry li tu bus kuch soch ker dekhti hi rahe, woh bhi majbooran
usko dekhnay laga yeh soch ker kay aisa kiyon ker rahe hai aur shayed inhi
sawaliyan nazroon nay usay pora din pareshan rakha kay akhir kiyon in baton
ko importance deta hoon jin ko dimagh say nikalna chahta hoon but nikal nahe sakta kiyonkay who pal samnay
anay lagtay hain jab bhi who samnay ata hai phir main nay kaha kay admi say
nafrat na kero na chaho kay tum us say nafrat kernay lago bulky uskay samnay
aisay ho jao jaisay tumko us ki presence say farq hi nahe parhta ,apni life
jiyon apnay qareebi logoon ko time do na kay us kay baray main soch ker time
waste kero
Bus phir tu us nay irada kiya kay ab main aisa hi keronga chaiyeh wo
jitna samnay ajaye nahe sochonga un paloon kay baray main jo aik time per
khushi detay thay ab takleef detay hain lekin kuch sawal jo mujhay hamesha
sochnay per majboor kereyngay who yeh kay kiya dosti bus nam ki hoti hai ? kisi
ki care kerna ya kisi ki galat baat per tokna kiya is ka sirf aik hi matlab
hota hai ? kiya dosti main limits matter kerti hain ?
aur is din saal ka aik
din guzar gaya ab dekhtay hain hein kal yeh naya din kiya ley ker ata hai, mager app kay pass is baray main koi raye ya mashwara ho tu do write in comment below shaba
khair !